har darakth hai ek maayus khamashi oodhe hue
jaise apni bezuban juban se koi khamosh geet bayan kar raha ho
loo ke garam thapedon ko sahte hue usne dopahar gujari hai
fir bhi har sham sheetal hawa se satkaar karna uski niyati hai
apne kaarwan ko insaani hathiyaro se ujadte dekhkar
apne akelepan pe man hi man aasoo baha raha hai wo
jinse apni wyatha kahe sake wo kab ke ja chuke usse door
ab apni baari ka inzaar karte hue waqt gujar raha hai chintan me
koi galti kabhi na hui use bus paropkar ke siva
shayad isi khata ka itna bada karz chukana pada hai use
apne kahtam hone se jyada bhi gam hai use kissi baat par
shayad apne hatyaro ke vinaash ki aahat suni hai usne
nishkam hokar sirf dena hi seekha ho jisne jeevan bhar
lene wale ki ahsaan-faramoshi pe achraj aa raha hai use
Monday, April 26, 2010
Subscribe to:
Posts (Atom)